Friday, February 19, 2016

Kapda Pahenney Key Waqt Ki Duayen

Bismillahirrehmanirraheem
Kapda Pahenney Key Waqt Ki Duayen


Kapda Pahenney Ki Dua:
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي كَسَانِي هَذَا الثَّوْبَ وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي، وَلَا قُوَّةٍ
Alhamdu Lillahil-lazee Kasanee Hazath-thawba Warazaqaneehi Min Gairi Hawlim Minnee, Wala Quwwah (Wala Quwwatin)
Tarjuma: Tamam Ta’reefat Allah Ke Liye Hain Jis Ne Mujhey Yeh Kapda Pehnaya, Aur Us Ne Mujhe (Yeh Kapda) Meri Kisi Taaqat Aur Quwwat Ke Baghair Ataa Farmaya.
(Sunan Abu Daud: 4023 Sahih)

Naya Kapda Pahenney Ki Dua:
اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ كَسَوْتَنِيهِ أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهِ وَخَيْرِ مَا صُنِعَ لَهُ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهِ، وَشَرِّ مَا صُنِعَ لَهُ
Allahumma Laka-l-Hamdu. Anta Kasawtaneehi. As’aluka Min Khayrihi Wa Khayri Ma Suni'a Lahu, Wa A'udhu-Bika Min Sharrihi Wa Sharri Ma Suni'a Lahu.
Tarjuma: Aye Allah Terey Hi Liye Tamam Tareefaat Hain, Tunay Hi Mujhey Yeh (Libaas) Pehnaya Hai Mein Tujh Se Is Libaas Ki Aur Jis Ke Liye Yeh Banaya Gaya Hai Us Ki Bhalai Ka Sawal Karta Hun. Aur Mein Is Ke Shar (Burai) Aur Jis Ke Liye Isey Banaya Gaya Hai Us Ke Shar (Burai)  Se Teri Panah Mein Aata Hun.
(Sunan Abu Daud: 4020 Sahih, Sunan Tirmidhi: 1825)

Hamara Page Like Or Share Karen:
https://m.facebook.com/Islaah-e-Ummat-988857607860521/

No comments:

Post a Comment