Sunday, September 18, 2016

Kya Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Paidaish Khaana e Ka'ba Mein Hue

Kya Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Paidaish Khaana e Ka'ba Mein Hue


Shi'a ke afsaanawi qisson aur jhooti ikhtira'aat (innovate) mein se ek ikhtira' (innovation) yeh hai ki Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki paodaish Khana e Ka'ba mein hue. Aur is silsilah me kuch baatil riwayaat pesh ki jaati hain. Haalanki haqaiq ki roshni mein yeh baat bilkul baatil hai ki Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Khana e Ka'ba mein paida huwe.
Taareekh (history) se jo saabit hai, wo yehi hai k Hazrat Hakeem bin Hizaam Radhiallahu Anhu Ka'ba mein paida huwe. Lekin Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki wilaadat kahaan hue??? Is mein sabse ziyadah sahih qaul yehi hai k unki paidaish Makkah k qareeb ek ghaati me huwi Jo k Sho'b e Ali se famous hai.
Al Jima' ul lateef: 338

Isliye aisi be-asal riwaayaton ko sahaara bana kar Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ko moulood e ka'ba batane ki koi zaroorat nahi, is liye ki Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki zaat mein is se koi kami nahi aati. Balki Hazrath Ali Radhiallahu Anhu ki zaat jhoote waaqiyaat aur qisas (qissey) se be-niyaaz hai.

No comments:

Post a Comment