Saturday, September 24, 2016

Gadha (Donkey) Aur Uski Khareed o Farookht Ka Hukm

Gadha (Donkey) Aur Uski Khareed o Farookht Ka Hukm:


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 

Pehle ye baat jaan li jaaye ki Gadha (donkey) 2 qism ka hai:
(1) Jangli Gadha (Wild donkey):
Isey Arabic mein “Himaarun wahshiyyun” kehte hain. Is ka khaana halaal hai.
Jangli gadha halaal hone ki daleel:
عَنْ أَبِي قَتَادَةَ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّهُ كَانَ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم حَتَّى إِذَا كَانَ بِبَعْضِ طَرِيقِ مَكَّةَ تَخَلَّفَ مَعَ أَصْحَابٍ لَهُ مُحْرِمِينَ وَهْوَ غَيْرُ مُحْرِمٍ، فَرَأَى حِمَارًا وَحْشِيًّا فَاسْتَوَى عَلَى فَرَسِهِ، فَسَأَلَ أَصْحَابَهُ أَنْ يُنَاوِلُوهُ سَوْطَهُ فَأَبَوْا، فَسَأَلَهُمْ رُمْحَهُ فَأَبَوْا، فَأَخَذَهُ ثُمَّ شَدَّ عَلَى الْحِمَارِ فَقَتَلَهُ، فَأَكَلَ مِنْهُ بَعْضُ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم، وَأَبَى بَعْضٌ، فَلَمَّا أَدْرَكُوا رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم سَأَلُوهُ عَنْ ذَلِكَ قَالَ ‏"‏ إِنَّمَا هِيَ طُعْمَةٌ أَطْعَمَكُمُوهَا اللَّهُ ‏"‏‏.‏ وَعَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ عَنْ أَبِي قَتَادَةَ فِي الْحِمَارِ الْوَحْشِيِّ مِثْلُ حَدِيثِ أَبِي النَّضْرِ قَالَ ‏"‏ هَلْ مَعَكُمْ مِنْ لَحْمِهِ شَىْءٌ
Tarjumah: Hazrat Abu Qatadah Radhiallahu Anhu bayan karte hainnki hum RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath the (Sulah Hudaibiyah ke mauqe par) Makkah ke raaste mein Aap sallallaahu alaihi wasallam apne chand saathiyon ke saath Jo Ehraam baandhe huwe the, lashkar se peeche rah gaye. Khud Qatada Radhiallahu Anhu ne abhi Ehraam nahi baandha tha. Phir unhon ne ek gorkhar (jangli gadha) dekha aur apne ghode (horse) par (shikaar karne ki niyyat se) sawaar ho gaye, uske baad unhon ne apne saathiyon se (Jo Ehraam baandhe huwe they) kaha ki koda (lash, whip) utha den. Unhon ne is se inkaar kiya, phir unhon ne apna neza (spear) maanga uske dene se unhon ne inkaar kiya, aakhir unhon ne khud se uthaya aur gorkhar (jangli gadhe) par jhapat (attack) pade aur usey maar liya. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba me se kuch ne to us gorkhar (jangli gadhe) ka gosht khaya aur kuch ne uske khaane se (ehraam me hone ki wajah se) inkaar kiya. Phir jab ye Rasoolullaah sallallaahu alaihi wasallam ki khidmat me pahunche to uske mutalliq masla poocha. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya k yeh to aik khaane ki cheez thi Jo Allaah ne tumhein ataa ki.
(Sahhih Bukhari: 2914)

(2) Paaltu (Domestic) Gadha:
Ise Arabic mein “Himaarun Ahliyyun” kehte hain. Iska khaana haraam hai.
Paaltu gadha (domestic donkey) haraam hone ki daleel:
 أَنَّ أَبَا ثَعْلَبَةَ قَالَ حَرَّمَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم لُحُومَ الْحُمُرِ الأَهْلِيَّةِ
Tarjumah: Abu Sa'labah radhiyallaahu anhu bayaan karte hain ki Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne gharelu gadhe k gosht ko haraam qaraar diya.
(Sahih Muslim: 1936)

Jangli gadhe (wild donkey) ki tijaarat to waazeh hai ki yeh halaal jaanwar hai, lekin paaltu gadhe ki khareed o farokht par log sawaal karte hain ki jab Hadees me aaya hai ki Haraam cheez ki qeemat bhi haraam hai jaisa ki yeh hadees hai:
إنَّ اللهَ إذا حرَّمَ على قومٍ أكْلَ شيءٍ حرَّمَ عليهم ثَمَنَهُ
Tarjumah: Beshak Allah Ta'ala jab kisi qaum par koi cheez khana haraam karta hai to uski qeemat bhi uspar haraam kardeta hai.
(Sahih ul Jami': 5107)
To phir gadhe ko khareedna aur bechna kaise jayez hai?
Paaltu gadha sawaari aur baar- bardaari (transport, carriage) ke layeq hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne uski sawaari bhi ki aur us se faida bhi uthaya to yeh aisa jaanwar hai jis se faida uthana Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se saabit hai. Aur jis jaanwar se faida uthana jayez hai, us ki tijaarat bhi jayez hai. Hadees me qeemat ki hurmat (haraam hone) ka jo masla hai wahan uska matlab ye hoga ki gadhe ko khaane ki niyyat se bechna aur uski qeemat lena haraam hai, magar faida uthane ki gharz se uska bechna jayez hai. Jaisa ki Hadees ke alfaaz
 "لحومَ الحُمُرِ الأهليةِ "
(gharelu gadhe ka gosht) se bhi waazeh hai. Is par RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamaane se aaj tak musalmaanon ka ijmaa' hai, kisi ne iski mukhaalifat nahi ki hai.
واللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment