Sunday, January 10, 2016

Bait ul Khala Mein Dakhil Hotey Waqt Ki Dua

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم
Bait ul Khala Mein Dakhil Hotey Waqt Ki Dua


حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَرْعَرَةَ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ صُهَيْبٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا دَخَلَ الْخَلاَءَ قَالَ ‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ ‏"‏‏.‏

                           Urdu Roman
Anas Radhiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Bait ul Khala Jaatey To Ye Dua Padhtey:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِث ("Allahumma Inni a`udhu bika minalkhubthi Wal khaba'ith.")
Aye Allah! Mein Khabees Jinon or Jinniyon (Female Jin) Ki Burai Se Teri Panah Maangta Hun.

                                  Urdu
ہم سے محمد بن عرعرہ نے بیان کیا ، انہوں نے کہا ہم سے شعبہ نے بیان کیا ، ان سے عبدالعزیز بن صہیب نے بیان کیا اور ان سے حضرت انس رضی اللہ عنہ نے بیان کیاکہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم جب بیت الخلاء جاتے تو یہ دعا پڑھتے ” اللهم إني أعوذ بك من الخبث والخبائث “ ” اے اللہ ! میں خبیث جنوں اور جنیوں کی برائی سے تیری پناہ مانگتا ہوں ۔ “

                                 English
Narrated Anas bin Malik:
Whenever the Prophet (ﷺ) went to the lavatory, he used to say: "Allahumma Inni a`udhu bika minalkhubthi Wal khaba'ith."

(Sahih al-Bukhari: 6322 & 142)

Ye Dua Tirmizi Hadees No: 5 & 6  Mein Bhi Hai Lekin Uskey Alfaaz Thodey Mukhtlaif Hain Lekin Zada Farq Nahi Hai.


Imam Nawawi Rahimahullah Kahtey Hain: Hamarey Ashaab Ye Kahtey Hain Ki Ye Dua Har Jagah Padhna Mustahab (Pasandeedah Amal) Hai Chahey Qaza e Hajat Ki Jagah Imarat (Ghar) Ho Ya Sehra (Jungle Wagera) Ho.
(Al- Azkaar (Nawawi): 1/89)

Is Liye Ye Dua Har Jagah Padhengey Chahey Ghar Key Toilet Mein Jaayen Ya Maidaan (Field) Mein Qaza e Hajat Key Liye Jayen.
Agar Koi Shakhs (Ghar Key) Bait ul Khala Mein Jaa Raha Hai To Bait ul Khala (Toilet) Mein Dakhil Honey Sey Pahley Dua Padheyga or Agar Sehra (Jungle) Ya Maidaan (Field) Mein Jaa Raha Hai To Wo Qaza e Hajat Key Liye Baithney Sey Pahley Padheyga.

Jis Riwayat Mein Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Bait ul Khala Mein Dakhi Honey Sey Pahley
 اللَّهمَّ إنِّي أعوذُ بكَ مِن الرِّجْسِ والنَّجسِ الخبيثِ المُخْبِثِ الشَّيطانِ الرَّجيم
Padhtey They Wo Riwayat Zaeef Hai.

(Silsila Az-Zaeefah (Albani): 4187)

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah Farmatey Hain Ki Ye Riwayat Is Sanad Key Saath Ghareeb Hai or Iska Madar (Base) Ismail Bin Muslim Makki Par Hai Or Wo Zaeef Hai.
(Nataaej al Afkaar: 1/199)
Sheikh Saleem HilaaliNe Bhi Is Riwayat Ko Sakht Zaeef Kaha Hai.

Isi Tarah Jis Riwayat Mein Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Baitul Khala Mein Dakhil Honey Sey Pahley “يا ذا الجلالِ” Padhtey They Wo Bhi Zaeef Hai.

(Zaeef al Jaami' (Albani) : 4389)

No comments:

Post a Comment