Tuesday, May 17, 2016

Kuch gair muslim aitraaz karte hain ki Musalman islam ko aman o salamati ka deen kaise kahte hain jabki islam talwar ke zor se faila?

Kuch gair muslim aitraaz karte hain ki Musalman islam ko aman o salamati ka deen kaise kahte hain jabki islam talwar ke zor se faila?


Jawab :
Kuch gair muslim aitraaz uthatey hain ki muslim ki itni badi tadad na hoti agar yeh talwar ke zor se na faila hota.
Chand baatein yeh wazeh karengi ki islam talwar ya taaqat ke zor se nahi faila hai balki ye apni sachchi taalim ki wajah se faila hai.

ISLAM Ye lafz "Salaam" se nikla hai jiska matlab aman ya salamati hai. Iska ye  mana bhi hai ki apne aapko Allah ki raza ke samne pesh kar diya jaye . Islam aman o salamati ka mazhab hai jo Allah ki marzi ke samne sar jhuka dene se haasil hota hai Aur is galat ilzaam ke jawab mein ki islam talwar ke zor se faila . Ek angraz itihaskar (tarikh likhne wala) D. Lesi olery ne apni kitab  "ISLAM AT THE CROSS ROAD" ke page no 8 mein likha hain ki :
TARIKH SE YEH HAQIQAT WAZEH HAI KI ISLAM KE MUTALLIQ RIVAYATI TA'SSUB (PARAMPARA BHED BHAV) PAR AADHARIT KAHANIYA KI ISLAM TALWAR SE FAILA AUR ISKE ZARIYE JUNUNI MUSALMAN DUNIYA PAR CHAA GAYE, NAMAKOOL OR GALAT KISM KE AFSANE HAIN, JINHE ITIHAAS KARO (TARIKH LIKHNE WALON) NE BAR BAR DOHRAYA HAI"

Musalmano ne spain mein lagbhag 800 saal hukumat ki aur waha ke logo ko musalman karne ke liye talwar ka istemal nahi kiya. Baad mein jab Isaai satta mein aye toh unhone waha ke musalmano ka safaya kar diya aur spain mein koi bhi musalman aisa na raha jo azaadi se aazan bhi dey sake Arab ke ilaaqe par musalman pichle lagbhag 1400 saal se hukumat kar rahe hain. Iske bawajood aaj bhi 14 million ek crore chalis lakh arab aise hain jo nasal dar nasal isaai (chirstan) hain. Agar islam talwar ke zariye faila hota toh arab mein ek bhì isaai (chirstan) na hota
Hindustan par musalmano ne lagbhag 1000 saal  hukumat (shasan) ki. Agar wo chahtey toh talwar ke zor par har gair muslim ko muslim bana letey. Magar aaj hindustan mein lagbhag 80% aabadi gair muslim ki hai kya ye taamam gair muslim is baat ka sabut nahi hain ki islam talwar ke zor pe nahi faila Puri duniya mein Indonesia mein musalman ki aabadi sabse zada hai aur Malaysia mein bhi musalman aksariyt mein hain. Ab main puch sakta hu ki kaun si islami fauj Indonesia aur Malaysia gai thi?  isi tarah islam badi tezi se africa mahadeep ke purwi saahil mein faila . kya gair muslim itihaaskar (Tarikh Likhne Wale) ye bata saktey hain ki africa ke purwi saahil pe kaun si islami fauj gai thi?

Aisa kahna galat hai ki islam talwar ke zor pe faila .agar musalman aisa karna bhi chahtey toh nahi kar saktey they kiyunki Quran ki surah baqrah surah 2 aayat 256 mein likha hain
"DEEN MEIN KOI ZABARDASTI NAHI HIDAYAT  GUMRAHI SE WAZEH HO CHUKI HAI"

Islam asal mein apni sachchi taleemat or hikmat (wisdom) se faila hai or yeh ek aisi talwar hai jo dil or dimag ko fateh kar leti hai jaisa ki quran ke ander surah Al-Nahl surah 16 aayat 125 mein hai
"LOGO KO APNE RAB KE  RAASTEY KI TARAF HIKMAT AUR BEHTAREEN NASIHAT KE SATH BULAO AUR UNSE BEHTAREEN TAREEQE SE BAHES ( GUFTAGU) KARO"

1986 mein Richard Digest mein ek mazmoon 1934 se kekar 1964 tak 50 saal mein duniya ke bade bade dharmon ke maanne walo ki taadad  mein izafey ke aakdey bayan kiye they. Ye mazmoon " THE PLAIN TRUTH" ke risaley mein bhi shaaya hua. Usmein sabse uper islam tha. Jiske maanne walo ki taadad mein 235 % izafa hua aur chirstanity mein sirf 47 %. Kya main yeh pooch sakta hu ki is sadi mein kaun si mazhabi jang ladi gai? Jiski wajah se  lakhon log musalman hue. Aaj ki taarikh mein america mein sabse zada failne wala mazhab islam hai. Wo kaun si talwar hai jisse log itni badi taadad mein musalman hone par majboor ho rahe hain ? WO TALWAR ISLAM KI SACHCHI TAALIM HAIN...

Prepared By: Siraj

No comments:

Post a Comment