Saturday, October 29, 2016

Mu'awiyah Radhiallahu Anhu Ke Mutalliq Aik Jhooti Riwayat

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
Jhooti Riwayat “Jab Mu'awiyah Ko Mere Mimber Par Dekho To Qatl Kar Do”

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Tareekh ke hawale se Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karte huwe Shia yeh jhoot phelata hai  Na'uzubillah Summa Na'uzubillah “Jab Mu’awiyah (Radhiallahu Anhu) ko mere mimbar par dekho to qatl kar do”.
Bahut saari tareekh ki kitabein aur Jirah ki kitabon ka hawala de kar Shia riwayat naqal karte hain jis ka matan is tarah se hai:
قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : إِذَا رَأَيْتُمْ مُعَاوِيَةَ عَلَى مِنْبَرِي فَاقْتُلُوهُ
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai: Jab tum Mu’awiyah (Radhiallahu Anhu) ko mere mimbar par dekho to usay qatl kar dena.

Halanki ulama aur muhaddiseen ne kitabon mein is riwayat ko jhooti aur manghadat likha hai aur isi jhoot ko wazeh karne ke liye apni kitabon mein darj kya hai.
Is riwayat ke mutalliq muhaddiseen aur muhaqquqeen ka hukm dekhen, aap ko iske jhoot aur manghadat hone ka andazah ho jayega:
(1) Sheikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah likhte hain yeh riwayat kizb (jhoot) aur mauzoo (manghadat) hai.
(Minhaaj us Sunnah: 4 / 378)

(2) Ayyub Sikhtiyaani ne kaha yeh kizb (jhoot) hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb: 8 / 74)

(3) Imam Uqaili ne isay munkar qarar diya hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb: 2 / 428)

(4) Imam Ibn e Hibban Rahimahullah ne kaha ke is ki sanad mein Hakam bin Zuhair naam ka Rawi hai jo Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ko gaaliyan dene wala hai aur Siqah Rawiyon se ghadi hue cheezein bayan karta hai.
(Al-Majrooheen: 1 / 304)

(5) Ibn e Adi Rahimahullah ne isay ghair mahfooz qarar diya hai.
(Al-Kamil Fiz-Zu’afaa: 2 / 491)

(6) Ibn ul Qaisarani Rahimahullah ne kaha ke is mein Hakam bin Zuhair Al-Fazari hai jo hadeesein gadhne wala hai is se yeh baat Abbad ibn Ya’qub al-Rawajni ne chori ki hai jo Ghali qism ka raafzi hai.
(Ma’rifat ut Tazkirah: 92)

(7) Ibn ul Jawzi Rahimahullah ne isay Mauzo qarar diya hai.
(Mauzo’aat: 2 / 266)

(8) Imam Zahbi Rahimahullah ne kaha is mein Hakam bin Zuhair par kalaam hai.
(Mezaan ul Ai’tedaal: 1 / 572)

(8) Allama Ibn e Kaseer Rahimahullah ne kaha yeh bila-shak jhoot hai.
(Al-Bidayah Wan-Nihaya : 8 / 135 )

(9) Allama Shaukaani Rahimahullah ne bhi isay Mauzo qarar diya hai.
(Al-Fawaid ul Majmoo'ah: 407)

(10) Shaikh Albani Rahimahullah isay Mauzo qarar dete hain.
(Silsilah Al-Ahadees Az-Zaewfah: 4930)

In ke alawah kai ahl e ilm ne is riwayat ko jhooti qarar diya hai. Is liye kisi musalman ke liye jayez nahi ke is jhooti baat ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob kare.
Hazrat Mu’awiya Radhiallahu Anhu ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne kitabat e wahi (wahi ke likhne) par ameen banaya tha, is se barh kar aur kya baat ho sakti hai, un ke mutalliq yeh la’nat Allah tauba. Yeh shiyon ka dhoka, jhoot aur bohtaan hai. Agar yeh baat sach hoti to Hazrat Mu’awiya Radhiallahu Anhu zaroor qatl kar diye gaye hote.
Aik taraf Shia ahl e bait se mohabbat ka dawa karte hain aur bila wajah ahl e bait ki mohabbat mein hadd se aage badh jaate hain aur doosri taraf Sahaba e Kiram Radhiallahu Anhum ko gaaliyan dete hain, lanat o malamat karte hain aur unhein bura bhala kehte hain. Yeh kaisi sitam zareefi hai?
Kya aap ne soocha ke Shia Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ko kiyun gaali dete hain? Is se mutalliq Imam Malik Rahimahullah likhte hain ke Shia aisi qaum hai jis ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par ta'an karne ki koshish ki magar is koshish mein kaamyaab nahi hue to Sahaba par ta'an o tashnee’ karne lage taaki kehne wala Aap ke mutalliq yeh kahe ki bura aadmi tha, in ke saathi bhi bure they, agar achche aadmi hote to in ke saathi bhi achche hote. 
(Sawa’iq : 1405)
Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah ne Sahaba Kiraam Radhiallahu Anhum ke mutalliq likha hai ke Khair ul Quroon ke log jinhein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka saath mila hai un par ta'an karna darasal RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam par ta'an karna hai.
(Majmoo’ Fatawa Ibn e Taimiyah: 4 / 429)
Is liye musalmanon! Hazrat Mu’awiya Radhiallahu Anhu ya Karbala ke waqiye ko base (wajah) bana kar ya baghair kisi wajah ke kisi musalman ke mutalliq khaas taur se Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ke mutalliq kuch ghalat baat kehna hamare Emaan aur naik amal ke liye bura hai. Is baat ko achchi tarah samjh len.

No comments:

Post a Comment